Blog Berisi Seputar Artikel Terbaru | Aplikasi | Tutorial Komputer | Blogging | Info Penting

Lirik Lagu Kal Ho Naa Ho - Kuch To Hua Hai



Kuch to hua hai, kuch ho gaya hai
Kuch to hua hai, kuch ho gaya hai

Kuch to hua hai, kuch ho gaya ha
Kuch to hua hai, kuch ho gaya hai
Do chaar din se lagta hai jaise
Sab kuch alag hai, sab kuch naya hai
Kuch to hua hai, kuch ho gaya hai

Cheezein main rakhke bhool jaati hoon
Bekhayaali mein gungunaati hoon
Ab akele mein muskuraati hoon
Badli hui si meri ada hai
Kuch to hua hai, kuch ho gaya hai

Pighla pighla hai dil mera jab se
Achchha rehta hai mood bhi tab se
Hanske milta hoon aaj kal sab se
Khush ho gaya hai jo bhi mila hai
Kuch to hua hai, kuch ho gaya hai

Rang chamkile saare lagte hain
Raah mein bikhre taarein lagte hain
Phool ab zyaada pyaare lagte hain
Maheki hui si jaisi hawa hai
Kuch to hua hai, kuch ho gaya hai

Dhyaan ab apna zyaada rakhta hoon
Sochta hoon main kaisa lagta hoon
Aaina ho to dekh leta hoon
Kaise yeh chehra aisa khila hai
Kuch to hua hai, kuch ho gaya hai
Kuch ho gaya hai, kya ho gaya hai
Yeh nasha jis mein donon rehte hain
Yeh laher jis mein donon behte hain
Ho na ho isko pyaar kehte hain
Pyaar mila to
Dil kho gaya hai
Kuch to hua hai, kuch ho gaya hai


Kuch ho gaya hai
kya ho gaya hai
Kuch ho gaya hai
kya ho gaya hai

Lirik Lagu Kal Ho Naa Ho - Kuch To Hua Hai Rating: 4.5 Diposkan Oleh: Kang Hikam

0 komentar:

Post a Comment